Yaad toh badi aati hai unki. Wo jo bina kahe humesha ke liye chale gaye. Ab pata nahi wo kaise honge, kis halat main honge, kaha honge? Kuch bhi nahi pata..
Apno main bahot log aate hai, elders, friends, relationship mates, office colleagues, the list is never ending.
Agar elders chale jaate hai toh unko bhulana utna hi mushkil hota hai jitna mushkil IIT, IIM aur UPSC sath main clear karna hota hai..
Dosto ko bhulana mushkil hota hai par wo bachpana kabhi nahi bhul sakte. Wo nadani, wo masti bhare lamhe, wo ek dusre ke kandho pe haath rakh kar chalna, wo school main ek dusro ko unki favourite ladki ke naam se chidhaana, college main assignment complete karne main help karna, sab yaad reh jaata hai..
Relationship partners ke saath break up toh ho jaata hai, par unki wo naadani, unka wo kandhe pe sar rakhna, jaise, bike pe piche baith kar stomach pe haath ko pakadte huve apna sar ko humare kandhe par rakhke so jaana, ye sab bada mushkil hai bhulna. Chote chote tu-tu main-main nahi hua toh wo relationship healthy nahi kehlata. Aur relationship ko khatam kar dena bina matlab se aur phir whatsapp ya kisi aur chatting platform se bachpana nahi hai toh aur kya hai?..
Office colleagues wala pyaar toh next level ka hota hai, jisme aap kisi ko bata bhi nahi sakte chahe wo aapka kitna bhi acha dost kyu na ho. Office main toh seniors se pyaar sabse pehle hota hai(to be honest).
Ye toh ho gaya pyaar ya chahat ya attachment ka kissa, jo bolna hai boliye.
Stay tuned for more articles.
Comments
Post a Comment